Thursday, April 29, 2010

साँसे

इश्क करके तुमसे,
मैंने इश्क को पहचाना,
दुआ करते थे जिस इश्क की,
तुमसे मिलकर उस इश्क को जाना,
चेहरा देखा नहीं करता इश्क,
यह तो बस दिल की आवाज समझाता है,
तुझे बाहों में लकर मुझे कुछ अजब सा नशा चदता है,
तेरे साँसों में गुजरे जिंदगानी,
यही हर पर मेरा दिल दुआ करता है.

Thursday, April 22, 2010

Life is journey.....

Chand sitaaroo se bhi poocha karte the hum,
apne khawboon se bhi poocha karte the hum,
taraashaa jisse khuda ne,
woh khudaayee kahan hogi,
de sake hum jisse khup saara pyar,
woh mere adhoori kahani kahan hogi......


Dil me bas ek he sawal rehta tha,
kis raah par chale,
kis modd par mooddee,
lekin har raah anjaan ho jaati thi,
jis raah par mudte the,
woh sadak he sunsaan ho jaati thi.......

Socha shayad zindagi iski kaa naam hai,
woh khawaboon ki duniya hai,
jiskaaa mukaam bas khawab hai.........

lekin sunsaan rahoon par chalte chalte,
kuch ansooni se awaj aayi,
jo tasveer thi khawboon me adhoori,
woh taqdeer bakar najar ke saamne chhhaiii,

Kuch mushkile seekha dete hai humko,
kuch hum khud samjah jaate hai,
har haaar ke baad jeet ka aana to teyyy (final) hai,
naa jaane yeh baat kyon nahin samjah paate hai.....

Bas mann ko thoda se behla lo,
apne chehre par thodi se hassi ko sajja lo,
yahi to woh shringaar hai,
jo tum par sabse jyada accha lagta hai,
tumare gadhi jaise hassi par he yeh dil marta hai :)

Jaanta hu main, ki hum abhi naakaam hai,
lekin heemat nahin haarenge,
humne chaha tha jaisa,
waise ek din jaroor paa lenge,
jab tak hum dono saath saath hai,
koi bhi mushkil hume jhuka nahin sakti,
hume hai khud par yakeen,
yeh ab hum apni takdeer ko bhi deekha denge......

Monday, April 19, 2010

Zindagi

Kabhi lagta tha aise,
jaise umango jo jahaaa nahin milta,
zindagi behti rehti hai aise,
lekin zindagi ko mukaam nahin milta,
aage chalte chalte,
peeche reh jaate hai kuch neeshaan,
jab moodd kar dekho,
woh neeshaan nahin milta............

lekin zindagi ka to yahi dastoor hai,
manzilo bahut saari,
aur manzile humse utni he dorrr hai,
rozz kadam uthaate the,
aage badate the, khub mushqat karte the,
apni chahat lekar manzilo ki taraf badd jaate the,
mehnat ne le ek din aise angdaaye,
paa liya aasmaan,
jiski thi barso se khuwaish,
saara jahan tha mere paass,
lekin phir bhi dil udaas tha,
pata nahin kis se beechadne ka ehsaas tha............

Dil me baddi ajab se pareshaani thi,
Lekin zindagi to kahan rukne waali thi,
ab socha ki kya hoga naya kadam,
naa jaane kis taraf bad jaayenge ab hum,
Chalne lage yeh kadam,
naye mukaam ki chahat me,
lekin achanak hee aaye ek aahat hume,
aur deekhne lagi phir woh pachaaye hume.....

Mil gaya zindagi ko naya kadam,
paana tha usko, chaha tha jisse dil ne chupp kar,
Roz unse mulaqaat hoti thi,
Lekin dil ki baat,
raaton me chandni ke saath he hoti thi,
Chaha kadam ko kitna badana,
lekin heemat naa hue,
aur haar gaya ek aur deewana.......................

Phir kudrat hua meharbaan,
ladki ke dil me jaaga,
uss ladke ke liye pyar,
zindagi ne jaise phir jeene ki thaani,
socha ab hogi zindagi kitni haseen,
aur kitni deewaani..........................

Lekin zindagi aise he nahin rukne waali thi,
abhi to bahut kuch paana tha,
uske Papa aur Aai ko bhi to manana tha :-)
Zindagi ne phir uthaaye kadam,
kuch paane ki khatir,
filhaal jaari hai jung,
apne pyar ko paane ke khatir........

Kuch aur naa mila,
to yeh kahani leekh daali,
jaanta hu main, naa kasoor hai isme tera,
aur naa he mera,
yeh to shayad dastoor hai zindagi kaa.............

Mukammal (Perfect) jahan ki chahat me,
raastein aasaan nahin hote,
Chalte rehna jaroori hai,
Kyonki pyar karne waale,
duniya ki muskilo se anjaan nahin hote..........